Friday 25 February 2011

kya ab karu jatan main re

Dekh ke fir se surat teri,  aankh meri kyu bhar aai re..
Bol na kuch to meri sajni,  kyun aaj ghataein barsi re..

Yun to sawan beet chuka hai, ab kyu naina barse re..
Milan baderiya beet chuki hai, ab kyu Milan to tarse re..

Hum thame hue the kab se, kyu tune fir se cheda re..
Kab ki patthar hui the aankhein, kyu aaj pigal ke mom hue re..

Kuch to bol oh meri sajni, kyu khamsoh tere hont hai re…
Pad to lein tere aankhon me bhi, aapne naina khol to re…

Sun ke meri sadayein bhi, kyu tu padi khamosh hai re..
Kuch to bol bhi de ab hum se, kya ab karu jatan main re..


By: Manish Kitchloo "Shahab"

( here a person is talking with his beloved who is no more in this world, and her body is lying in the coffin)

Woh Pehla Pyar


Pehla woh  pyar hote hi jaise...
haseen yeh duniya lagne lagi thi

Aankhon se aankhe milte hi jaise
puri yeh kainat lagne lagi thi..

Dil ki dadkan jo kuch pal ko theri
zism se jaan.. meri jaan jaa rahi thi...

Chune ko usko jo mann yeh tarsa...
badan me mere mano aag si lagi thi....

Pass  aa ke unke mehakne lage the..
gulistan mein kaliyan khilne lagi thi..

Khawabon ke duniya me khone lage the..
khaylon ke mefhil bhi ab sajne lagi thi...

Raaston me chal ke khone lage the...
manzelein bhi unse judne lagi thi...

Sajde me unke hi haath uthte the..
ab to wohi ibadat lagne lagi thi...

Duaon mein bhi asar lagne laga tha..
labon pe mera naam laane lagi thi...

Sun ke naam apna main to kho jata tha,,
woh is ada se muje pukarne lagi thi....

Unki aankho me hi dhooba rehta tha..
woh bhi mujse chahhat karne lagi thi....

Chahat mein aage main badne laga tha, 
woh bhi to hadse gujarne lagi thi

Shararat se apni use chedne laga tha,
badle mein woh bhi to roothne lagi thi,

Bahon mein unki mein khone laga tha,
Woh mohabat se meri  jawa hone lagi thi

Pardon pe dil ke unhe rangne laga tha,
woh bhi to rangon  me dalne lagi thi,

Sab se mein baatein chupane laga tha,
woh bhi to chupke mujse milne lagi thi,

Pyar ki kasmein main khane laga tha,
woh bhi to rasmein nibane lagi thi,

Har manjil ko main pane laga tha,
woh hi to himmat badane lagi thi,

By: Manish Kitchloo "Shahab"

Ab Kuch Aisa Aalam Hai

Meri nazm jo kal tak woh unsune si kar ke jaate the…
unke sahare hi raat guzarte hai…Ab kuch asia aalam hai
Kal tak na jaani us pyar ki kadar jo hum unpe lutate the…
Maangte muje hi rab se dua mein hai. Ab kuch aisa aalam hai ..


Dekh ke muje pass apne, woh kuch gabra se jaate the…
Dhoondte hai muje  parchayion me bhi… Ab kuch aisa aalam hai ..
Khawabon mein bhi na dehke muje woh, asie unke arman se the..
Aaine mein mujehi ko dekhte hai.. Ab kuch aisa aalam hai ..


Pass hoke bhi unke hum..meelon unse door hi the..
Unka Saaya banke sath chale hum.. Ab kuch aisa aalam hai ..
Saamne na rehkar bhi, in aankhon me unki tasveer se thi
Na utre hai un aankhon se mera chehra.. Ab kuch aisa aalam hai ..


Kuch na sunna tha unko, hum jo bhi kehna chahte the..
Labon ko humare takte rehte hai.. Ab kuch aisa aalam hai ..
Chain se woh raaton ko sote the jab hum raaton mein jaagte the..
Khawabon mein satati judai hai.. Ab kuch aisa aalam hai ..



By: Manish Kitchloo "Shahab"