Sunday 3 March 2013

Nirbhaya

I dedicate this poem to all the Women’s and especially to the Brave Girl “Nirbhaya”

 

Hain  tere hum pe  kai ehsaan baki,
Hain  ab bhi tujh pe  kai Ilzaam baki.

Hain  tere abhi kai imtehaan baki,
Hain  ab bhi tujh pe kai sitam baki.

Hain Tujh mein abhi sehan shakti baki,
Hain  ab bhi hum mein naadani baki. 

Hain  ab bhi  jaane kitni “Nirbhaya” baki,
Hain  ab bhi ban-na tera  “Abhaya”  baki. 

(Abhaya – among 108 names of Durga)

By: Manish Kitchloo "Shahab"

Tuesday 26 February 2013

Ajab Manzar

Ajab manzar ik unki aankhon mein humne aaj dekha hai
Unki aankhon mein aaj khud ko dhoobte hue dekha hai

Ghamon ka sagar aur ranjishon ka ik toofan dekha hai
Ranj-o-gham ki maujo mein aaj khud ko dhoobte hue dekha hai

Aankhon se jaane kitne chanabon  ko behte hue dekha hai
“Shahab” unhi dariyon mein aaj khud ko dhoobte hue dekha hai

Manish Kitchloo "Shahab"

Sunday 24 February 2013

Ranzish.....

Dil se aankhon se kaisi yeh ranzish payi hai
Pyar dil ne kiya, saza aankhon ne payi hai

Pyar ka dard to dil mein samaya hua hai
Samandar ki gehrahaiyee aankhon ne payi hai

Tadap milan ki dil me machi hui hai
Har rahgujar per aankhein bichi hui hai

Dhadkane dil ki kab se dadhki nahi hai
Palkein hai ki humari kab se japki nahi hai 

Dil mein na jaane kitne tufaan ubre hue hai
Aankhon mein na jaane kitne khawab dhoobe hai

Yeh Dil to "Shahab" tab talak bachain rehta hai
Aaankhon mein jab talak unki surat nahi aati hai... 

By: Manish Kitchloo "Shahab"