Monday 7 March 2011

Yeh Kaise Inayat Hone lagi Thi....

Thoda  pyar aur thodi shararat hone lagi thi..
Jaane yeh dil pe kis ki aahat hone lagi thi..

Kuch is tarha pyar ki shuruvat hone lagi thi..
Zindagi mano nayi karvat se lene lagi thi..

Pal bhar ki judai bhi ek muddat lagne lagi thi            ( Muddat = period of time)
Dil ko bechain ek pal ki furkat karne lagi thi..          (Furkat = separation)

Tera nazrein churana gaflat lagne lagi thi                 ( Gaflat = negligence)
Tera pass na hone bhi ek nakbat lagne lagi thi.        (Nakbat = calamity)

Amavas ki raat bhi shab-e-hijrat lagne lagi thi          ( Hijrat = separation)
Chand ke bina to raat bhi wajaahat khone lagi thi..   (Wajaahat = dignity)

Har aati jaati saans Milan ki mahulat dene lagi thi..
Ik pal bhi dil ko behlana  musibat lagne lagi thi..

Tera pass hona bhi khuda ki shafaqat  lagne lagi thi   ( Shafaqat = kindness)
Door.. bahut door zindagi ki har ik sa’oobat hone lagi thi (Sa’oobat = difficulty)

Teri muskaan mein kaliyon ki nazakat dikhne lagi thi
Teri mojudgi se hi to baagh ki zeenat badne lagi thi..

Ek tere deedar se hi jannat ki ziyaarat  hone lagi thi   ( Ziyaarat = pilgrimage)
Jaane yeh khuda ki mujpe kaise Inayat hone lagi thi…

By: Manish Kitchloo "Shahab"

Ab jo pyar hua hai...

Nafrat aur bezari pe na kuch bhi likhna hai muje
Ab jo pyar hua hain, to bas pyar hi karna hai muje

Na kisi ne dil  toda hai aur na dil todna hai muje
Dil jo mil gaye hai to bas ab dil jodna  hai muje,

Na ashq bahane hai aur  na hi ashq peena hai muje
Ashkon ko moti banake, palkon me chupana hai muje

Na to dard-e-dil aur na hi dard-e-judai sehna hai muje
Yaar ko apni baahon ki panaho me chupana hai muje

By: Manish Kitchloo " Shahab"

Aadat si ho gayi hai…


Jaane kya baat  ho gayi hai  jo
Is dil ko teri  aadat si ho gayi hai..

Jaagu jo neend se main to.
Teri tasveer dekhne ki aadat si ho gayi hai.

Sou  jo raat ko main to
Neend mein tere khawbon ki aadat si ho gayi hai

Thamu jo dil ko apne  main to
Dhadkano me tere geeton ki aadat si ho gayi hai…

Chide jo saaz kahee'n koi to
Ik nayi gazal likhne ki aadat si ho gayi hai..

Raastein pe chalu'n main to
Bheed mein bhi khone ki aadat si ho gayi hai…

Dikhe jo tere dhar ka raasta to
Wahi ruk ke ibadat karne ki aadat si ho gayi hai

Jau'n jo karne sajda karne ko to,
Tere  naam se ibtidaa karne ki aadat si ho gayi hai

Dhoop me chalu'n jo main to
Teri hi zulfon ki chau'on ki aadat si ho gayi hai

Raasta taku jo tere aane ka main to
Waqt ko bhi intezaar karne ki aadat si ho gayi hai..

Aadat jo chahi badalni maine to
Aadaton ko bhi na badalne ko aadat si ho gayi hai..

By :- Manish Kitchloo "Shahab"